O re kaanchee kaanch kee guriyaa ... jhoom chamelee

ओ रे काँची काँच की गुड़िया ... झूम चमेली
Work
Year
Language

झूम चमेली झूम चमेली झांझर वाली झूम झूम
घूम चमेली घूम चमेली झांझर वाली घूम झूम
ओ रे काँची
काँच की गुड़िया
होंठों में बाँधे प्रेम की पुड़िया
ना उसे खोले ना मुँह से बोले
पलकों पे रख के आँखों से तौले
सुनियो सुनियो
ओ रे काँची …

सुनियो सुनिया मिश्री से मीठी
आँखों में बंद है बात रसीली
हाँ ना उसे खोले …

पहाड़ी पार चलना है तो परबत हटा दूँ
घटाओं में कहीं छुपना है तो सावन बुला दूँ
महुआ महुआ महका महका
महका महका महुआ महुआ
पहाड़ी पार …
कोई उड़ता हुआ पंछी बता देगा ठिकाना
जहाँ से दिन निकलता है उसी टीले पे आ जाना
महुआ महुआ …
ओ रे काँची …

तेरा कोई परिचय हो तो ऐ सुंदरी बता दे
बड़ी मीठी मुस्कान है मुंदरी बना दे
महुआ महुआ …
तेरा कोई …
है परदेसी मुझे भूल जाएगा कहीं पे
दे वचन मैं पहन लूँ उसे गहना समझ के
महुआ महुआ …
ओ रे काँची …

jhūm chamelī jhūm chamelī jhāṅjhar vālī jhūm jhūm
ghūm chamelī ghūm chamelī jhāṅjhar vālī ghūm jhūm
o re kāṇchī
kāṇch kī guṛiyā
hoṅṭhoṅ meṅ bāṇdhe prem kī puṛiyā
nā use khole nā muṇh se bole
palkoṅ pe rakh ke āṇkhoṅ se taule
suniyo suniyo
o re kāṇchī …

suniyo suniyā miśhrī se mīṭhī
āṇkhoṅ meṅ baṅd hai bāt rasīlī
hāṇ nā use khole …

pahāṛī pār chalnā hai to parbat haṭā dūṇ
ghaṭāoṅ meṅ kahīṅ chhupnā hai to sāvan bulā dūṇ
mahuā mahuā mahkā mahkā
mahkā mahkā mahuā mahuā
pahāṛī pār …
koī uṛtā huā paṅchhī batā degā ṭhikānā
jahāṇ se din nikaltā hai usī ṭīle pe ā jānā
mahuā mahuā …
o re kāṇchī …

terā koī parichay ho to ai suṅdrī batā de
baṛī mīṭhī muskān hai muṅdrī banā de
mahuā mahuā …
terā koī …
hai pardesī mujhe bhūl jāegā kahīṅ pe
de vachan maiṅ pahan lūṇ use gahnā samajh ke
mahuā mahuā …
o re kāṇchī …