O raam jee baraa dukh deenaa tere lakhan ne baraa dukh deenaa

ओ राम जी बड़ा दुख दीना तेरे लखन ने बड़ा दुख दीना
Work
Year
Language

ओ राम जी बड़ा दुख दीना तेरे लखन ने बड़ा दुख दीना
सुध बुध बिसराई मेरी नींद चुराई मेरा मुश्किल कर दिया जीना
हो राम जी बड़ा दुख …

वो दीपक है मैं ज्योति हूं वो हँसता है मैं रोती हूँ हूँ हूँ
मेरे प्यार की कदर उसे होगी मगर मुझे ज़हर पड़ेगा पीना
बड़ा दुख दीना …

मेरी अंखियां मेरे सपने ले गया सब कुछ साथ वो अपने
ये जान निगोड़ी जाने काहे को छोड़ी छलिए ने सब कुछ छीना
बड़ा दुख दीना …

सुनकर मेरी राम दुहाई देखो वो आया हरजाई
निर्मोही ये कैसा जो मैं जानती ऐसा तो मैं करती प्यार कभी ना
बड़ा दुख दीना …

किस लखन की बात करती हो तुम
लखन ने लखन ने मेरे लखन ने
सजन ने सजन ने मेरे सजन ने
सजनों के सजन ने मेरे लखन ने

o rām jī baṛā dukh dīnā tere lakhan ne baṛā dukh dīnā
sudh budh bisrāī merī nīṅd churāī merā muśhkil kar diyā jīnā
ho rām jī baṛā dukh …

vo dīpak hai maiṅ jyoti hūṅ vo hṇstā hai maiṅ rotī hūṇ hūṇ hūṇ
mere pyār kī kadar use hogī magar mujhe zahar paṛegā pīnā
baṛā dukh dīnā …

merī aṅkhiyāṅ mere sapne le gayā sab kuchh sāth vo apne
ye jān nigoṛī jāne kāhe ko chhoṛī chhalie ne sab kuchh chhīnā
baṛā dukh dīnā …

sunkar merī rām duhāī dekho vo āyā harjāī
nirmohī ye kaisā jo maiṅ jāntī aisā to maiṅ kartī pyār kabhī nā
baṛā dukh dīnā …

kis lakhan kī bāt kartī ho tum
lakhan ne lakhan ne mere lakhan ne
sajan ne sajan ne mere sajan ne
sajnoṅ ke sajan ne mere lakhan ne