O priyaa suno priyaa mere nainon men raho

ओ प्रिया सुनो प्रिया मेरे नैनों में रहो
Year
Language

आ आ
ओ प्रिया सुनो प्रिया सुनो प्रिया सुनो प्रिया
ओ प्रिया सुनो प्रिया मेरे नैनों में रहो प्रिया
सपने जो देखे हैं मैने तुम भी तो देखो प्रिया
ओ प्रिया …

बहकी हुई हवाएं कहती हैं हम भी गाएं
प्यार के जो गीत हैं
बहता नदी का पानी कहता है ये कहानी
जन्मों के हम मीत हैं हाय
ओ प्रिया सुनो प्रिया जब भी मैं जन्मूं ये हो प्रिया
जाऊं किसी भी दिशा में
पाऊं तुम्ही को प्रिया हो प्रिया
ओ प्रिया …

कितना मधुर है जीवन कितना समय है पावन
खोए हैं हम चाह में
कितनी शांत हैं घड़ियां कितनी कुंवारी कलियां
खिल रही हैं राह में हाय
ओ प्रिया सुनो प्रिया चाहें कोई रुत भी हो प्रिया
महकी रहें प्रेम कलियां
और तुम महको प्रिया ओ प्रिया
ओ प्रिया …

ā ā
o priyā suno priyā suno priyā suno priyā
o priyā suno priyā mere nainoṅ meṅ raho priyā
sapne jo dekhe haiṅ maine tum bhī to dekho priyā
o priyā …

bahkī huī havāeṅ kahtī haiṅ ham bhī gāeṅ
pyār ke jo gīt haiṅ
bahtā nadī kā pānī kahtā hai ye kahānī
janmoṅ ke ham mīt haiṅ hāy
o priyā suno priyā jab bhī maiṅ janmūṅ ye ho priyā
jāūṅ kisī bhī diśhā meṅ
pāūṅ tumhī ko priyā ho priyā
o priyā …

kitnā madhur hai jīvan kitnā samay hai pāvan
khoe haiṅ ham chāh meṅ
kitnī śhāṅt haiṅ ghaṛiyāṅ kitnī kuṅvārī kaliyāṅ
khil rahī haiṅ rāh meṅ hāy
o priyā suno priyā chāheṅ koī rut bhī ho priyā
mahkī raheṅ prem kaliyāṅ
aur tum mahko priyā o priyā
o priyā …