ओ ओ ओ ओ मुझे किसी से प्यार हो गया
ओ ओ ओ ओ मुझे किसी से प्यार हो गया - 2
प्यार हो गया दिल बेक़रार हो गया, बेक़रार हो गया
ओ ओ ओ ओ मुझे …
दर्द चाहा था हमने छिपाना
खुल गया फिर भी दिल का फ़साना
दिल ने ये क्या किया, ओ सलोने पिया,
मोरा धड़के जिया
ओ ओ ओ ओ मुझे …
जो छिपाना मैने चाहा
आँखों ने कह दिया
और जो मैंने कहना चाहा
दिल में ही रह गया
ओ ओ ओ ओ मुझे …
आँखों आँखों में कर के इशारे
किसने दिल से कहा हम तुम्हारे
हाय ये क्या किया, ओ सलोने पिया,
मोरा धड़के जिया
ओ ओ ओ ओ मुझे …
o o o o mujhe kisī se pyār ho gayā - 2
pyār ho gayā dil beqrār ho gayā, beqrār ho gayā
o o o o mujhe …
dard chāhā thā hamne chhipānā
khul gayā phir bhī dil kā fasānā
dil ne ye kyā kiyā, o salone piyā,
morā dhaṛke jiyā
o o o o mujhe …
jo chhipānā maine chāhā
āṇkhoṅ ne kah diyā
aur jo maiṅne kahnā chāhā
dil meṅ hī rah gayā
o o o o mujhe …
āṇkhoṅ āṇkhoṅ meṅ kar ke iśhāre
kisne dil se kahā ham tumhāre
hāy ye kyā kiyā, o salone piyā,
morā dhaṛke jiyā
o o o o mujhe …