O mere sonaa re sonaa re sonaa re

ओ मेरे सोना रे सोना रे सोना रे
Year
Language

ओ मेरे सोना रे सोना रे सोना रे
दे दूंगी जान जुदा मत होना रे
(मैने तुझे ज़रा देर में जाना
हुआ कुसूर खफ़ा मत होना रे ) - 2
ओ मेरे सोना रे सोना रे सोना रे

ओ मेरी बाँहों से निकलके
तू अगर मेरे रस्ते से हट जाएगा
तो लहराके, हो बलखाके
मेरा साया तेरे तन से लिपट जाएगा
तुम छुड़ाओ लाख दामन
छोड़ते हैं कब ये अरमां
कि मैं भी साथ रहूँगी रहोगे जहाँ
ओ मेरे …

ओ मियां हमसे न छिपाओ
वो बनावट कि सारी अदाएं लिये
कि तुम इसपे हो इतराते
कि मैं पीछे हूँ सौ इल्तिज़ाएं लिये
जी मैं खुश हूँ मेरे सोना
झूठ है क्‌या, सच कहो ना
कि मैं भी साथ रहूँगी रहोगे जहाँ
ओ मेरे …

ओ फिर हमसे न उलझना
नहीं लट और उलझन में पड़ जाएगी
ओ पछताओगी कुछ ऐसे
कि ये सुरखी लबों की उतर जाएगी
ये सज़ा तुम भूल न जाना
प्यार को ठोकर मत लगाना
कि चला जाऊंगा फिर मैं न जाने कहाँ
ओ मेरे …

o mere sonā re sonā re sonā re
de dūṅgī jān judā mat honā re
(maine tujhe zarā der meṅ jānā
huā kusūr khafā mat honā re ) - 2
o mere sonā re sonā re sonā re

o merī bāṇhoṅ se nikalke
tū agar mere raste se haṭ jāegā
to lahrāke, ho balkhāke
merā sāyā tere tan se lipaṭ jāegā
tum chhuṛāo lākh dāman
chhoṛte haiṅ kab ye armāṅ
ki maiṅ bhī sāth rahūṇgī rahoge jahāṇ
o mere …

o miyāṅ hamse na chhipāo
vo banāvaṭ ki sārī adāeṅ liye
ki tum ispe ho itrāte
ki maiṅ pīchhe hūṇ sau iltizāeṅ liye
jī maiṅ khuśh hūṇ mere sonā
jhūṭh hai k‌yā, sach kaho nā
ki maiṅ bhī sāth rahūṇgī rahoge jahāṇ
o mere …

o phir hamse na ulajhnā
nahīṅ laṭ aur uljhan meṅ paṛ jāegī
o pachhtāogī kuchh aise
ki ye surkhī laboṅ kī utar jāegī
ye sazā tum bhūl na jānā
pyār ko ṭhokar mat lagānā
ki chalā jāūṅgā phir maiṅ na jāne kahāṇ
o mere …