O mere sapnon ke saudaagar mujhe aisee jagah le jaao

ओ मेरे सपनों के सौदागर मुझे ऐसी जगह ले जाओ
Year
Language

ओ मेरे सपनों के सौदागर तुझको मुझसे है प्यार अगर
तो चल मेरे संग चल चल मेरे संग आ और मेरे संग गा

ओ मेरे सपनों के सौदागर मुझे ऐसी जगह ले जाओ
मैं चाहती हूँ मेरे हमसफ़र मुझे परियों की दुनिया दिखाओ
प्यार ही प्यार हो जिस जगह मुझे ऐसी जगह दिखाओ
ओ मेरे सपनों के …

ये परियों की बस्ती सितारों का मजमा
यहां गूंजता है मुहब्बत का नग़्मा
यहां प्यार के हैं दीवाने सभी
हर इक तारा हो इन पर वारा

o mere sapnoṅ ke saudāgar tujhko mujhse hai pyār agar
to chal mere saṅg chal chal mere saṅg ā aur mere saṅg gā

o mere sapnoṅ ke saudāgar mujhe aisī jagah le jāo
maiṅ chāhtī hūṇ mere hamasafar mujhe pariyoṅ kī duniyā dikhāo
pyār hī pyār ho jis jagah mujhe aisī jagah dikhāo
o mere sapnoṅ ke …

ye pariyoṅ kī bastī sitāroṅ kā majmā
yahāṅ gūṅjtā hai muhabbat kā naġhmā
yahāṅ pyār ke haiṅ dīvāne sabhī
har ik tārā ho in par vārā