ओ मेरे सनम ओ मेरे सनम
दो जिस्म मगर एक जान हैं हम
एक दिल के दो अरमान हैं हम
ओ मेरे सनम ओ मेरे सनम
तन सौंप दिया, मन सौंप दिया
कुछ और तो मेरे पास नहीं
जो तुम से है मेरे हमदम
भगवान से भी वो आस नहीं - 2
जिस दिन से हुए एक दूजे के
इस दुनिया से अनजान है हम
एक दिल के दो अरमान हैं हम
ओ मेरे सनम ओ मेरे सनम
सुनते हैं प्यार की दुनिया में
दो दिल मुश्किल से समाते हैं
क्या गैर वहाँ अपनों तक के
संग भी ना आने पाते हैं - 2
हमने आखिर क्या देख लिया
क्या बात है क्यों हैरान है हम
एक दिल के दो अरमान हैं हम
ओ मेरे सनम ओ मेरे सनम
मेरे अपने, अपना ये मिलन
संगम है ये गंगा जमुना का
जो सच है सामने आया है
जो बीत गया एक सपना था - 2
ये धरती है इन्सानों की
कुछ और नहीं इन्सान हैं हम
एक दिल के दो अरमान हैं हम
ओ मेरे सनम ओ मेरे सनम्
o mere sanam o mere sanam
do jism magar ek jān haiṅ ham
ek dil ke do armān haiṅ ham
o mere sanam o mere sanam
tan sauṅp diyā, man sauṅp diyā
kuchh aur to mere pās nahīṅ
jo tum se hai mere hamdam
bhagvān se bhī vo ās nahīṅ - 2
jis din se hue ek dūje ke
is duniyā se anjān hai ham
ek dil ke do armān haiṅ ham
o mere sanam o mere sanam
sunte haiṅ pyār kī duniyā meṅ
do dil muśhkil se samāte haiṅ
kyā gair vahāṇ apnoṅ tak ke
saṅg bhī nā āne pāte haiṅ - 2
hamne ākhir kyā dekh liyā
kyā bāt hai kyoṅ hairān hai ham
ek dil ke do armān haiṅ ham
o mere sanam o mere sanam
mere apne, apnā ye milan
saṅgam hai ye gaṅgā jamunā kā
jo sach hai sāmne āyā hai
jo bīt gayā ek sapnā thā - 2
ye dhartī hai insānoṅ kī
kuchh aur nahīṅ insān haiṅ ham
ek dil ke do armān haiṅ ham
o mere sanam o mere sanam