O jaanevaale ho sake to laut ke aanaa

ओ जानेवाले हो सके तो लौट के आना
Work
Year
Language

ओ जानेवाले हो सके तो लौट के आना
ये घाट तू ये बाट कहीं भूल न जाना

बचपन के तेरे मीत तेरे संग के सहारे
ढूँढेंगे तुझे गली-गली सब ये ग़म के मारे
पूछेगी हर निगाह कल तेरा ठिकाना
ओ जानेवाले…

है तेरा वहाँ कौन सभी लोग हैं पराए
परदेस की गरदिश में कहीं तू भी खो ना जाए
काँटों भरी डगर है तू दामन बचाना
ओ जानेवाले…

दे दे के ये आवाज़ कोई हर घड़ी बुलाए
फिर जाए जो उस पार कभी लौट के न आए
है भेद ये कैसा कोई कुछ तो बताना
ओ जानेवाले…

o jānevāle ho sake to lauṭ ke ānā
ye ghāṭ tū ye bāṭ kahīṅ bhūl na jānā

bachapan ke tere mīt tere saṅg ke sahāre
ḍhūṇḍheṅge tujhe galī-galī sab ye ġham ke māre
pūchhegī har nigāh kal terā ṭhikānā
o jānevāle…

hai terā vahāṇ kaun sabhī log haiṅ parāe
pardes kī gardiśh meṅ kahīṅ tū bhī kho nā jāe
kāṇṭoṅ bharī ḍagar hai tū dāman bachānā
o jānevāle…

de de ke ye āvāz koī har ghaṛī bulāe
phir jāe jo us pār kabhī lauṭ ke na āe
hai bhed ye kaisā koī kuchh to batānā
o jānevāle…