O jaane vaale mur ke zaraa dekhte jaanaa

ओ जाने वाले मुड़ के ज़रा देखते जाना
Work
Year
Language

Slow: तुम्हे क़सम है मेरी
दिल को यूँ ना तड़पाओ
ये इल्तिजा है के
मुड़ मुड़ के देखते जाओ

Fast: ओ जानेवाले मुड़के ज़रा देखते जाना
ज़रा देखते जाना
ओ जानेवाले मुड़के ज़रा देखते जाना
ज़रा देखते जाना
दिल तोड़ के तो चल दिये मुझको ना भुलाना
ज़रा देखते जाना

फ़रियाद कर रही हैं खामोश निगाहें, खामोश निगाहें - 2
आँसू की तरह आँख से मुझको ना गिराना
ज़रा देखते जाना
ओ जानेवाले मुड़के ज़रा देखते जाना
ज़रा देखते जाना

क़िस्मत ने कहाँ आ कर मेरी बात बिगाड़ी, मेरी बात बिगाड़ी
मंज़िल पे आ के लुटा मेरे दिल का ख़ज़ाना
ज़रा देखते जाना
ओ जानेवाले मुड़के ज़रा देखते जाना
ज़रा देखते जाना

Slow: tumhe qasam hai merī
dil ko yūṇ nā taṛpāo
ye iltijā hai ke
muṛ muṛ ke dekhte jāo

Fast: o jānevāle muṛke zarā dekhte jānā
zarā dekhte jānā
o jānevāle muṛke zarā dekhte jānā
zarā dekhte jānā
dil toṛ ke to chal diye mujhko nā bhulānā
zarā dekhte jānā

fariyād kar rahī haiṅ khāmośh nigāheṅ, khāmośh nigāheṅ - 2
āṇsū kī tarah āṇkh se mujhko nā girānā
zarā dekhte jānā
o jānevāle muṛke zarā dekhte jānā
zarā dekhte jānā

qismat ne kahāṇ ā kar merī bāt bigāṛī, merī bāt bigāṛī
maṅzil pe ā ke luṭā mere dil kā khazānā
zarā dekhte jānā
o jānevāle muṛke zarā dekhte jānā
zarā dekhte jānā