O jaan-e-jigar ... jalvaa

ओ जान-ए-जिगर ... जलवा
Year
Language

ओ जान-ए-जिगर ओ जान-ए-जिगर
ले गई मन ये करारी करारी नज़र
मान जा दिलबर
जलवा जलवा जलवा जलवा
ओ जान-ए-जिगर …

क्‌या खबर थी जानां मुझे प्यार हो जाएगा
दिल तुम्हारे लिए बेकरार हो जाएगा
ये तीर-ए-नज़र
ले गई मन ये मेरा तेरी बाली उमर
मान जा दिलबर
ओ जान-ए-जिगर …

जाओ मेरे पिया तुम्हें माफ़ हमने किया
जलवा ऐसा किया धड़के ये मेरा जिया
ऐसा है असर
तेरी ही यादों में जागेंगे हम रात भर
आ भी जा दिलबर
ओ जान-ए-जिगर …

o jān-e-jigar o jān-e-jigar
le gaī man ye karārī karārī nazar
mān jā dilbar
jalvā jalvā jalvā jalvā
o jān-e-jigar …

k‌yā khabar thī jānāṅ mujhe pyār ho jāegā
dil tumhāre lie bekrār ho jāegā
ye tīr-e-nazar
le gaī man ye merā terī bālī umar
mān jā dilbar
o jān-e-jigar …

jāo mere piyā tumheṅ māf hamne kiyā
jalvā aisā kiyā dhaṛke ye merā jiyā
aisā hai asar
terī hī yādoṅ meṅ jāgeṅge ham rāt bhar
ā bhī jā dilbar
o jān-e-jigar …