ओ हो हो मैं बाबू छैला छैला बाबू बाबू छैला
ये नाम था मेरा पहला
आज से मैं बन गया रे मजनूं देख के तुझको लैला
मैं बाबू छैला …
सुन ले दिल का ये अफ़साना तेरा-मेरा प्यार पुराना -2
माना इक बहरुपिया हूँ मैं लेकिन हूँ तेरा दीवाना
आदत मेरी बुरी सही पर दिल का मैं नहीं मैला
आज से मैं बन …
ये जो अपने पीछे दौड़े बीमारी पीछा न छोड़े
ऐसे प्रेमी ऐसे पागल दुनिया में मिलते हैं थोड़े
जाने है ये पान का छक्का या चिड़िया का नहला
आज से मैं बन …
female voice: हु हु हु ओ हो ला ला ला
हम जैसे दीवाने अक्सर जान भी दे देते हैं हँस कर -2
ग़म न कर बस शौक़ से दिलबर तीर चलाए जा सीने पर
टूट गया दिल मेरा तो क्या तेरा दिल तो बहला
आज से मैं बन …
o ho ho maiṅ bābū chhailā chhailā bābū bābū chhailā
ye nām thā merā pahlā
āj se maiṅ ban gayā re majnūṅ dekh ke tujhko lailā
maiṅ bābū chhailā …
sun le dil kā ye afsānā terā-merā pyār purānā -2
mānā ik bahrupiyā hūṇ maiṅ lekin hūṇ terā dīvānā
ādat merī burī sahī par dil kā maiṅ nahīṅ mailā
āj se maiṅ ban …
ye jo apne pīchhe dauṛe bīmārī pīchhā na chhoṛe
aise premī aise pāgal duniyā meṅ milte haiṅ thoṛe
jāne hai ye pān kā chhakkā yā chiṛiyā kā nahlā
āj se maiṅ ban …
female voice: hu hu hu o ho lā lā lā
ham jaise dīvāne aksar jān bhī de dete haiṅ hṇs kar -2
ġham na kar bas śhauq se dilbar tīr chalāe jā sīne par
ṭūṭ gayā dil merā to kyā terā dil to bahlā
āj se maiṅ ban …