mere mahbūb na jā, nā jā nā jā
mere mahbūb na jā, āj kī rāt na jā
hone vālī hai sahar, thoṛī der aur ṭhahar
mere mahbūb na jā …
1) dekh kitnā hasīn mausam hai
har taraf ik ajīb ālam hai
jalve is tarah āj nikhre haiṅ
jaise tāre zamīṅ pe bikhre haiṅ, mere mahbūb …
2) maiṅne kāṭeṅ haiṅ intazār ke din
tab kahīṅ āye haiṅ bahār ke din
yūṇ nā jā dil ki śhamā gul kar ke
abhī dekhā nahīṅ hai jī bhar ke, mere mahbūb …
3) jab se zulfoṅ kī chhāṇv pāī hai
beqrārī ko nīṅd āī hai
is tarah mat jā yūṇhī sone de
rāt ḍhalne de subah hone de, mere mahbūb …
4) is tarah pher kar nazar mujh se
dūr jāegā tū agar mujhse
chāṇdnī se bhī āg barsegī
śhammā bhī rośhnī ko tarsegī, mere mahbūb …
5) dhaḍknoṅ meṅ yahī tarāne haiṅ
tere rukne ke sau bahāne haiṅ
mere dil kī zarā sadā sun le
pyāsī nazroṅ kī iltjā sun le, mere mahbūb …