āīnā vo hī rahtā hai, chehre badal jāte haiṅ
āṇkhoṅ meṅ rukte nahīṅ jo, āṇsū nikal jāte haiṅ
pahlī mulākāt kī, tobā vo pahlī nazar
kyā ho gayā, kab huā, hotī nahīṅ kuchh khabar
kitnā bhī dil ko saṅbhālūṇ, armā machal jāte haiṅ
gulaśhan meṅ phūloṅ ke sāth, khilte haiṅ dil meṅ gulāb
hotā hai jab pyār to, lagtā hai pānī śharāb
do ghūṇṭ pīte hī lekin ye hoṅṭh jal jāte haiṅ
bekhbar, bekadar, pyār sach hai agar
dekhnā ek din, royegā mere bin
rāh meṅ chhoṛkar, merā dil toṛkar
mujh ko taṛpāyā kyo, tū bhī taṛpegā yūṇ
yād rakh bevafā, ye merī baddūvāṅ
tū ne jiske liye, mujh ko dhokhe diye
vo terī dilrubā, legī badlā merā
maiṅ ye gam hamanśhī, bhūl saktī nahī
vo irāde tere, jhūṭhe vāde tere
jab yād āte haiṅ, dil par bas tīr chal jāte haiṅ