sūkhī rut meṅ chhāī badriyā, chamkī bijuriyā sāth
ḍūbo tum bhī saṅg mere, yā thāmo merā hāth
maulā salīm chiśhtī, āqā salīm chiśhtī -2
ābād kar do dil kī duniyā salīm chiśhtī -2
jitnī balāyeṅ āī, sab ko gale lagāyā -2
khūṇ ho gayā kalejā, śhikvā na lab pe āyā -2
har dard ham ne apnā, apne se bhī chhupāyā
har dard ham ne apnā, hā
har dard ham ne apnā, apne se bhī chhupāyā -2
tum se nahīṅ hai koī pardā salīm chiśhtī
maulā salīm chiśhtī …
jāegā kaun āke, pyāsā tumhāre dar se -2
kuchh jām se pīeṅge, kuchh maharbāṅ nazar se -2
kuchh jām se pīeṅge, hā
kuchh jām se pīeṅge, kuchh maharbāṅ nazar se -2
ek pyālī bhar ke de sāqī mai-e-gulafām kī
ek apne nām pī, aur ek allāh nām pī
meṭ de pūrī merī hasrat dil-e-nākām kī
dede dede dard meṅ koī sūrat ārām kī
ghūṇṭ hī pilā magar jośh-e-tamannā ḍāl kar
ek qatrā de magar qatre meṅ dariyā ḍāl kar
kuchh jām se pīeṅge, kuchh maharbāṅ nazar se …
ye saṅg-e-dar tumhārā, toṛeṅge apne sar se -2
ye saṅg-e-dar tumhārā, hā
ye saṅg-e-dar tumhārā, toṛeṅge apne sar se -2
ye dil agar tumhārā ṭūṭā salīm chiśhtī -2
maulā salīm chiśhtī …
is saṅg-e-dar ke sadaqe, is rahguzar ke sadaqe
bhaṭke hue musāfir, maṅzil pe pahuṅche ākhir
ujaṛe hue chaman meṅ, ye rṇg-e-pairahan meṅ
sau rṇg muskurāe, sau phūl lailhāe
āī naī bahāreṅ, pahalne lagī phuāreṅ
ġhūṇghaṭ kī lāj rakhnā, is sar pe tāj rakhnā
is sar pe tāj rakhnā
āqā salīm chiśhtī, maulā salīm chiśhtī …