fizā bhī hai javāṇ javāṇ, havā bhī hai ravāṇ ravāṇ
sunā rahā hai ye samā sunī sunī sī dāstāṇ
bujhī magar bujhī nahīṅ, na jāne kaisī pyās hai
qarār dil se āj bhī na dūr hai na pās hai
ye khel dhūp chhāoṅ kā, ye parvteṅ ye dūriyāṇ
sunā rahā hai ye samā…
har ek pal ko ḍhūṇḍhtā har ek pal chalā gayā
har ek pal visāl kā, har ek pal firāq kā
har ek pal guzar gayā, banāke dil pe ik niśhāṇ
sunā rahā hai ye samā…
pukārte hauiṅ dūr se, vo qāfile bahār ke
bikhar gae haiṅ raṅg se, kisīke intazār meṅ
lahar lahar ke hoṅṭh par, vafā kī haiṅ kahāniyāṇ
sunā rahā hai ye samā…
vohī ghaṛī vohī pahar, vohī havā vohī lahar
naī haiṅ maṅzileṅ magar, vohī ḍagar vohī safar
nazar gaī jidhar jidhar, milī vohī niśhāniyāṇ
sunā rahā hai ye samā…