ma: chehrā chhupā liyā hai kisī ne hijāb meṅ
jī chāhtā hai āg lagā dūṇ naqāb meṅ
sa: bijlī thī ik jo ham ne chhupā lī naqāb meṅ
lag jātī varnā āg tumhāre śhabāb meṅ
ma: ham husn ke parvāne jalne se nahīṅ ḍarte
anjām-e-mohabbat kī parvāh nahīṅ karte
ik bār hī dete haiṅ dil apnā hasīnoṅ ko
ik bār hī marte haiṅ sau bār nahīṅ marte
sa: parvāne se pahle jalī aur parvāne ke sāth jalī
vo to jalā bas pal do pal śhamā to sārī rāt jalī
ek parvānā jalā ik kadar śhor machā
śhamā chupchāp jalī lab pe śhikvā na ġhilā
kyā hai jalne kā mazā husn se pūchho zarā
kyoṅki
parvāne ko jal jānā ham ne hī sikhāyā hai
vo tab hi jalā ham ne jab khud ko jalāyā hai
āśhiq kī jān iśhq meṅ jāne se peśhtar
khud husn ḍūbtā hai vafā ke chanāb meṅ
ko: chehar chhupā liyā …
sa: gar husn nahīṅ hotā ye iśhq kahāṇ hotā
phir kis se vafā karte phir kis kā vafā hotā
ma: takrār se kyā hāsil kuchh bhī na huā hotā
gar tum na hasīṅ hote gar maiṅ na javāṅ hotā
jis roz se is husn kā dīdār kiyā hai
bas pyār kiyā pyār kiyā pyār kiyā hai
sa: ye jhūṭh hai ki tum ne hameṅ pyār kiyā hai
ham ne tumheṅ zulfoṅ meṅ giraftār kiyā hai
ma: tum husn ho ham iśhq hai
sa: gar tum nahīṅ to ham nahīṅ
ma: hai bāt sachchī bas yahī koī kisī se kam nahīṅ
sa: hai bāt sachchī bas yahī koī kisī se kam nahīṅ
ma: ek naġhmā hai ek rāg hai
sa: donoṅ taraf ek āg hai
ma: tum se hameṅ śhikvā bhī hai phir bhī āp se pyār hai
sa: tum bin hameṅ kab chain ham ko bhī ye iqrār hai
ma: dekhe to hośh gum ho na dekhe to hośh gum
ye phṇs gaii hai jān merī kis adāb meṅ
ko: chehrā chhupā liyā …