sonā nahīṅ nā sahī chāṇdī nahīṅ nā sahī
fiqar kyā hai maiṅ hūṇ nā tere liye
( sonā nahīṅ nā sahī chāṇdī nahīṅ nā sahī
fiqar kyā hai maiṅ hūṇ nā tere liye ) -2
o magar jag meṅ merī jāṇ koī dil kī tamannā
mohabbat ke sivā bhi hai mere liye tere-mere liye
sonā nahīṅ nā sahī
magar jag meṅ merī jāṇ koī dil kī tamannā
mohabbat ke sivā nahīṅ tere liye mere-tere liye
pyār maiṅ hūṇ pyār tū hai mān jā o dilrubā
sāre jag meṅ kuchh nahīṅ hai ik tere-mere sivā
māntā hūṇ sanam pyār hī hai ziṅdgī
kyā karūṇ dil meṅ thī bāt koī aur hī
jo bhī hai vo sab galat hai mān jā o dilrubā
sāre jag meṅ kuchh nahīṅ hai ik tere-mere sivā
chalo mānā bahas kyā hai mohabbat hī sach hai yār
karoge tum hāṇ karoge tum sajan mujhse karūṇgī maiṅ tumse pyār
chalo sonā nahīṅ nā sahī chāṇdī nahīṅ nā sahī
fiqar kya hai tū hai nā mere liye
hai nā mere liye
sajan sunnā jān-e-tamann
sajan sunnā jān-e-tamann tere liye
sonā nahīṅ nā sahī chāṇdī nahīṅ nā sahī
fiqar kyā hai maiṅ hūṇ nā tere liye
ho tirchhī nazroṅ se nā dekho āśhiq-e-dilgīr ko
kaise tīraṅdāz ho sīdhā to kar lo tīr ko
vo baṛā tez hai jo divānā hai merā
hūṇ usī kī śhikār jo niśhānā hai merā
to kholo zulfeṅ inkī khuśhbū meṅ mahak jāūṇ zarā
gore tan kī chāṇdnī meṅ phir chamak jāūṇ zarā
chalo do pal ham ik dūje meṅ kho jāyeṅ is tarah
bahut din ke taraste lab lipaṭ jāyeṅ jis tarah
sajan sunnā jān-e-tamannā
sajan sunnā jān-e-tamannā tere liye
sonā nahīṅ nā sahī chāṇdī nahīṅ nā sahī -2
sonā nahīṅ ā ā ā chāṇdī nahīṅ ā -2