dhuāṅ dhuāṅ dhuāṅ dhuāṅ dhuāṅ dhuāṅ
dhuāṅ hī dhuāṅ
ye sājiśheṅ diśhāoṅ kī
ye sājiśheṅ havāoṅ kī
lahuluhān ho gaī zamīṅ ye devtāoṅ kī
na śhaṅkh kī sadāeṇ haiṅ na ab zadā azān kī
nazar merī zamīn ko lagī hai āsmān kī
haiṅ darabdar ye log kyūṇ jale haiṅ kuchh makāṅ
dhuāṅ dhuāṅ …
ye kisne āg ḍāl dī hai narm narm ghās par
likhā huā hai ziṅdgī yahāṅ har ek lāśh par
ye takht kī laṛāī hai ye kursiyoṅ kī jaṅg hai
ye begunāh khūn bhī siyāstoṅ kā raṅg hai
lakīr khīṅch dī gaī diloṅ ke darmiyāṅ
dhuāṅ dhuāṅ …