pairoṅ meṅ bandhan hai pāyal ne machāyā śhor
sab darvāze kar lo band dekho āye āye chor
pairoṅ meṅ bandhan hai
toṛ de sāre bandhan tū machne de pāyal kā śhor
dil ke sab darvāze khol dekho āye āye chor
pairoṅ meṅ bandhan hai
kahūṇ maiṅ kyā, karūṇ maiṅ kyā
śharam ā jātī hai
na yūṇ taṛpā ki merī jān
nikaltī jātī hai
tū āśhiq hai merā sachchā yaqīṅ to āne de
tere dil meṅ agar śhaq hai to bas phir jāne de
itnī jaldī lāj kā ghūṇghat na kholūṇgī
sochūṇgī phir soch ke kal parsoṅ bolūṇgī
tū āj bhī hāṇ na bolī
oy kuṛiye terī ḍolī le na jāye koī aur
pairoṅ meṅ bandhan hai …
jinheṅ milnā hai kuchh bhī ho
ajī mil jāte haiṅ
diloṅ ke phūl to
patjhaṛ meṅ bhī khil jāte haiṅ
zamānā dostoṅ dil ko dīvānā kahtā hai
dīvānā dil zamāne ko dīvānā kahtā hai
le maiṅ saiṅyā ā gayī sārī duniyāṇ ko chhoṛ ke
terā bandhan bāṇdh liyā sāre bandhan toṛ ke
ek dūje se juṛ jāyeṅ
ā ham dono uṛ jāyeṅ jaise saṅg pataṅg aur ḍor
pairoṅ meṅ bandhan hai …