suno jī dulhan ik bāt suno jī apne nae parivār se milo jī
tumheṅ milāeṅ sabse āj suno sunāeṅ sabke rāj hāy
pahle dulhan tum inse milo jī
ghar ke mukhiyā tumhāre sasur jī
jinke sar pe sukhoṅ kā tāj
dekho jarā inkā andāz hāṇ
rāmpur kā vāsī hūṇ maiṅ rāmkiśhan hai nām
sīdhī sādī bolī merī sīdhā sādā kām
ho jo bhī chāhā maine ho rab se vo pāyā maine
des bides ghūmkar āyā maiṅ bhāī
ho mahak gāṇv kī miṭṭī kī nā bisrāī
vahī guṛ chanā dūdh nāśhte meṅ bhāe
ho chhurī aur kāṇṭe se khānā nā āe
itne par bhī ho itne par bhī hai naī technik ko
pyār se hai sīkhā maine
rāmpur kā vāsī …
āo dulhan ab inse milo jī
ye haiṅ tumhārī sāsū māṇ jī
ghar meṅ chaltā inkā rāj
inkā khās hai ik andāz
merā nām mū mū mū mū mū mū āhā mū mū mū
tīn titliyāṅ merī yār mujhe pārṭiyoṅ se hai pyār
vā vā
shopping ho yā sabjī maṅḍī mol bhāv kī pakkī hūṇ
ek rupayyā kīmat ho to ek rupayyā hī maiṅ dūṅ
lambā merā fasānā hai par beauty parlour jānā hai
merā nām mū …
pyārā mujhe sāj siṅgār umr ko golī māro yār
vā vā
chalo dulhan ab āge baṛho jī
apne nanad naṅdoī se milo jī
dīdī ko ye na kare nārāz
āśhiqānā hai andāz hāṇ
rādhikā ke daddy zarā ānā
darling hukum farmānā
kaisī hai ye sāṛī batānā
darling fidā hai ye dīvānā
merā sar hai dukhtā
chalo maiṅ dabā dūṅ
hai khānā pakānā
kaho maiṅ pakā dūṅ
kahīṅ ghūm āeṅ
jahāṅ bhī kaho tum
dinner leṅge bāhar
fikar nā karo tum
bād meṅ ice cream bhī khilānā
darling jo chāho so maṅgānā
mīṭhā pān kā pattā khilānā
darling zarā sā muskurānā
zarā merā purse to uṭhānā
darling tumhārā hai zamānā
suno jī dulhan ab saṅbhal jāo jī
chhoṭe naṭkhaṭ devar se milo jī
baṛā raṅgīlā inkā mizāj
śhaitānī inkā andāz he
pāpā kahte haiṅ baṛā nām karegā
beṭā hamārā aisā kām karegā
sach sāre sapne pāpā ke apne
karne chalā maiṅ naujvāṅ
bholī sūrat dil ke khoṭe
bāt baṛī hai kām haiṅ chhoṭe
āṭh baje tak jo sote
baṛe kahāṅ log aise hote
jinkī nazar meṅ ho koī sapnā
rahā na unko hośh apnā hośh apnā
chit bhī hai inkī paṭ bhī hai inkī
bin paiṅde ke ye loṭe
bāt baṛī hai kām haiṅ chhoṭe kām haiṅ chhoṭe
bholī sūrat dil ke khoṭe
husn ke nakhre moṭe moṭe moṭe moṭe
suno jī dulhan ab gaur karo jī
apne baṛe devar se milo jī
māṇ ke dil ke ye sartāj
śharmīlā jinkā andāz hūṇ
akhiyāṅ milāeṅ nahīṅ hāy batiyāeṅ nahīṅ banke raheṅ sādhū
kisī chehre kī kitāb kā roj revision hai chālū
prīt ke path meṅ haiṅ prem bābū
chhupe rustam haiṅ ye prem bābū
aise kyā bane paṛhaiyā paṛhke dekho jī saiṅyā
prem ke ḍhāī ākhar ho
jab tak tum rahe bidesī merī hālat thī aisī
jal bin jaise machhriyā ho
merā piyā ghar āyā o rāmjī
orī ho na ho paṛhāī o pāpā jī
kar do inkī bhī sagāī o mammī jī
pyārī dulhan ab dil thāmo jī
kyūṅ ki hai bārī saiṅyā jī kī
itnā sā hai inkā rāz
sabse alag inkā andāz hāṇ
khulī kitāb ke jaisī hai śhakhsiyat inkī
kaun hai ghar meṅ aisā jisko inmeṅ nāz nahīṅ
suno dulhan batāeṅ rāz tumko ham inkā
ye āīnā hai jiske dil meṅ koī rāz nahīṅ
chaṅdā māmā se bhī pyāre haiṅ ye hamāre māmā
māmī jī ke ā jāne se hamko bhūl nā jānā
pyāre pyāre māmā jī jahāṅ se nyāre māmā jī
ni sā re ga re sā re ga re sā re