Title (Indic)ऐ जाते हुए लम्हों ज़रा ठहरो ... तो चलूं WorkBorder Year1997 LanguageHindi Credits Role Artist Music Anu Malik Performer Roop Kumar Rathod Writer Javed Akhtar LyricsHindiऐ जाते हुए लम्हों ज़रा ठहरो ज़रा ठहरो मैं भी तो चलता हूँ ज़रा उनसे मिलता हूँ जो एक बात दिल में है उनसे कहूं तो चलूं तो चलूं हूं हूं हूं हूं ऐ जाते हुए लम्हों … ज़रा ठहरो ज़रा ठहरो उनके चेहरे की ये नरमियां उनकी ज़ुल्फ़ों की ये बदलियां उनकी आँखों के रोशन दिये उनके होंठों की ये सुर्खियां सब उनके हैं जलवे मैं चलने से पहले साँसों में आँखों में ख्वाबों में यादों में और इस दिल में तुमको छुपा के रखूं तो चलूं तो चलूं … ज़रा ठहरो ज़रा ठहरो मैं कहीं भी रहूं ऐ सनम मुझको है ज़िंदगी की कसम फ़ासले आते जाते रहे प्यार लेकिन नहीं होगा कम जिन्हें चाहूं जिन्हें पूजूं उन्हें देखूं उन्हें छू लूं ज़रा बातें तो कर लूं ज़रा बाहों में भर लूं मैं इस चाँद से माथे को चूम लूं तो चलूं तो चलूं … Englishai jāte hue lamhoṅ zarā ṭhahro zarā ṭhahro maiṅ bhī to chaltā hūṇ zarā unse miltā hūṇ jo ek bāt dil meṅ hai unse kahūṅ to chalūṅ to chalūṅ hūṅ hūṅ hūṅ hūṅ ai jāte hue lamhoṅ … zarā ṭhahro zarā ṭhahro unke chehre kī ye narmiyāṅ unkī zulfoṅ kī ye badliyāṅ unkī āṇkhoṅ ke rośhan diye unke hoṅṭhoṅ kī ye surkhiyāṅ sab unke haiṅ jalve maiṅ chalne se pahle sāṇsoṅ meṅ āṇkhoṅ meṅ khvāboṅ meṅ yādoṅ meṅ aur is dil meṅ tumko chhupā ke rakhūṅ to chalūṅ to chalūṅ … zarā ṭhahro zarā ṭhahro maiṅ kahīṅ bhī rahūṅ ai sanam mujhko hai ziṅdgī kī kasam fāsle āte jāte rahe pyār lekin nahīṅ hogā kam jinheṅ chāhūṅ jinheṅ pūjūṅ unheṅ dekhūṅ unheṅ chhū lūṅ zarā bāteṅ to kar lūṅ zarā bāhoṅ meṅ bhar lūṅ maiṅ is chāṇd se māthe ko chūm lūṅ to chalūṅ to chalūṅ …