Title (Indic)तेरा चाँद चेहरा बनाने की खातिर् WorkDaraar Year1996 LanguageHindi Credits Role Artist Music Anu Malik Performer Alka Yagnik Performer Kumar Sanu Writer Shahin Iqbal LyricsHindiतेरा चाँद चेहरा बनाने की खातिर हज़ारों सितारों को तोड़ा गया है तेरे इस बदन को सजाने की खातिर तो लाखों गुलाबों को जोड़ा गया है ओ तुझे दिल के नज़दीक लाने की खातिर तेरे नाम से नाम जोड़ा गया है तेरे बाजुओं में समाने की खातिर ज़माने की रस्मों को तोड़ा गया है तेरा चाँद चेहरा … चुरा तो लिया है मेरे दिल को लेकिन ये डर है कहीं तू नज़र न चुरा ले अगर तुझको शक़ है मेरे प्यार पर तो मेरी जान लेकर अभी आज़मा ले तेरे लब पे सुर्खी जगाने की खातिर कंवल की रगों को निचोड़ा गया है तुझे दिल के नज़दीक … तेरे हाथ में वो लकीरें तो होंगी जिन्हें मेरे दिल का पता याद होगा वो दिल जो तुम्हारी वफ़ा का हो कायल उसे और दुनिया में क्या याद होगा तेरी याद में सब भुलाने की खातिर ये चेहरा सारी दुनिया से मोड़ा गया है तेरा चाँद चेहरा … Englishterā chāṇd chehrā banāne kī khātir hazāroṅ sitāroṅ ko toṛā gayā hai tere is badan ko sajāne kī khātir to lākhoṅ gulāboṅ ko joṛā gayā hai o tujhe dil ke nazdīk lāne kī khātir tere nām se nām joṛā gayā hai tere bājuoṅ meṅ samāne kī khātir zamāne kī rasmoṅ ko toṛā gayā hai terā chāṇd chehrā … churā to liyā hai mere dil ko lekin ye ḍar hai kahīṅ tū nazar na churā le agar tujhko śhaq hai mere pyār par to merī jān lekar abhī āzmā le tere lab pe surkhī jagāne kī khātir kaṅval kī ragoṅ ko nichoṛā gayā hai tujhe dil ke nazdīk … tere hāth meṅ vo lakīreṅ to hoṅgī jinheṅ mere dil kā patā yād hogā vo dil jo tumhārī vafā kā ho kāyal use aur duniyā meṅ kyā yād hogā terī yād meṅ sab bhulāne kī khātir ye chehrā sārī duniyā se moṛā gayā hai terā chāṇd chehrā …