alkā: chāhat nadiyā, chāhat sāġhar
chāhat dhat.rī, chāhat aṅbar
vinod: chāhat rādhā, chāhat giridhar
alkā: dil kā dhaṛaknā yahī chāhat hai
nīṅd na ānā, yahī chāhat hai
chāhat na hotī, kuchh bhī na hotā
maiṅ bhī na hotī, tū bhī na hotā
vinod: dil kā dhaṛaknā yahī chāhat hai
nīṅd na ānā, yahī chāhat hai
chāhat na hotī, kuchh bhī na hotā
tū bhī na hotī, maiṅ bhī na hotā
alkā: tum mujhse alag kab ho maiṅ tumse judā kab hūṇ
pānī meṅ kṇval jaise, rahte ho mujh hī meṅ tum
vinod: dekhūṇ to tumheṅ dekhūṇ, sochūṇ to tumheṅ sochūṇ
sāġhar meṅ nadī aise, bahte ho mujh hī meṅ tum
alkā: chāhat khuśhbū, chāhat raṅgat
chāhat mūrat, chāhat kudarat
vinod: chāhat gaṅgā, chāhat jamunā
alkā: hośh gṇvānā, yahī chāhat hai
jān se jānā, yahī chāhat hai
chāhat na hotī, kuchh bhī na hotā …
alkā: jab tū nahīṅ hotā hai, us vaqt bhī har śhah meṅ
har gīt meiṅ har lay meṅ, tū nazar ātā hai
vinod: hāṇ bikhrā ke kabhī zulfeṅ, chamkā ke kabhī chehrā
tum hī merī duniyā ke din rāt sajāte ho
alkā: chāhat ghūṇghaṭ, chāhat dap.raṇ
chāhat sajnī, chāhat sājan
vinod: chāhat pūjā, chāhat daśh.ran
alkā: āṇkh bhar ānā, yahī chāhat hai
jī ghabrānā, yahī chāhat hai
chāhat na hotī kuchh bhī na hotā …