lo chalī maiṅ apnī devar kī bārāt le ke lo chalī maiṅ
na baiṇḍ bajā, na hī bārātī, khuśhiyoṅ kī saugāt le ke
lo chalī maiṅ …
devar dulhā banā, sar pe sehrā sajā
bhābhī baṛhkar āj balāiyāṇ letī hai
prem kī kaliyāṇ khile, pal pal khuśhiyāṇ mile
sachche man se āj duāeṇ detī hai
ghoṛe pe chaṛh ke, chalā hai bāṇkā, apnī dulhan se milne
lo chalī maiṅ …
vāh! vāh! rām jī, joṛī kyā banāī
devar devrānījī, badhāī ho badhāī
sab rasmoṅ se baṛī hai jag meṅ dil se dil kī sagāī
āj hai śhubh ghaṛī, āj banī maiṅ baṛī
kal tak ghar kī bahu thī, ab hūṇ jeṭhānī
huqum chalāūṇgī maiṅ, āṇkh dikhāūṇgī maiṅ
sahmī khaṛī rahegī merī devrānī
hazār sapne, palkoṅ meṅ apne dīvānī maiṅ sāth le ke
lo chalī maiṅ …