milke raheṅge mahloṅ kā dulhā jhopaṛ paṭṭī kī dulhan
tāqat ke naśhe meṅ chūr haiṅ ye daulat vāle pājī
magar jab miyāṅ bīvī rāzī to kyā karegā kāzī
jaldī se faislā karo varnā ham apnā haq chhīn leṅge mil ke
faqat daulat ke hone se baṛā koī nahīṅ bantā
baṛā vah hai śharāfat kā ho jiske hāth meṅ sikkā
agar tum dahej māṅgoge to sīdhe jel jāoge
hamārī bāt na mānoge to jūtā lāt khāoge
ab na saheṅge zulm tumhāre o garīboṅ ke duśhman
sar pe qafan bāṅdh kar dekho āī garīboṅ kī ṭolī
vāpas ham jāeṅge nahīṅ chāhe khānī paṛe hamko golī
hameṅ kamazor mat samjho ham aṅgāroṅ se kheleṅge
tumhārī jān le leṅge yā apnī jān de deṅge
jo āheṅ ham garīboṅ ke taṛapte dil se nikleṅgī
tumhāre mahal chaubāre jalākar rākh kar deṅgī
ham sach kaheṅge jān hamārī le le chāhe ye rāvaṇ
milke raheṅge …