bhūl ho gayī jāne de sajnā
mar jāūṇgī mān jā, mān jā, mān jā …
sazā de in āṇkhoṅ ko, ki ye hai khatā inkī
kāhe na pahchānā tujhe
...
cho chhoṛ gussā jāne de sajnā
mar jāūṇgī mān jā, mān jā, mān jā …
tujhe maiṅ na chāhūṇgī to kaise na chāhūṇgī
maiṅ to dīvānī yār kī
gile jo bhī haiṅ dil ke, miṭā le gale mil ke
tujh ko qasam hai pyār kī
are mān bhī ja ab jāne de sajnā
mar jāūṇgī mān jā, mān jā, mān jā …
hāṇ chalo māf kartā hūṇ, kahā to kahā tumne
āge na kahnā phir kabhī
chalā jāūṇgā varnā kahīṅ tum se itnī dūr
ḍhūṇḍhogī sārī ziṅdgī
ho, aur phir pukārogī sajnā
mar jāūṇgī mān jā, mān jā, mān jā …