hameṅ aur jīne kī chāhat na hotī
agar tum na hote, agar tum na hote
(hameṅ jo tumhārā iśhārā na miltā
bhaṅvar meṅ hī rahte kinārā na miltā - 2)
kināre pe bhī to lahar ā ḍubotī
agar tum na hote, agar tum na hote
(tumheṅ dekhke to lagtā hai aise
bahāroṅ kā mausam āyā ho jaise - 2)
dikhāī na detī aṅdheroṅ meṅ jyotī
agar tum na hote, agar tum na hote
tumheṅ kyā batāūṅ ke tum mere kyā ho
merī ziṅdgī kā tum hī āsrā ho
maiṅ āśhā ki laṛiyāṅ, na rah rah pirotī
agar tum na hote, agar tum na hote
har ik ġham tumhārā saheṅge khuśhī se
kareṅge na śhikvā kabhī bhī kisī se
jahāṇ mujh pe haṅstā, khuśhī mujhpe rotī
agar tum na hote, agar tum na hote
na jāne jo dil se ye āvāz āī
milan se hai baṛhke tumhārī judāī
ye āṇkhoṅ ke āṇsū, na kahlāte motī
agar tum na hote, agar tum na hote