nafrat kī lāṭhī toṛo, lālach kā khaṅjar pheṅko
zid ke pīchhe mat dauṛo, tum prem ke paṅchhī ho
deśh premiyoṅ, āpas meṅ prem karo deśh premiyoṅ …
dekho, ye dhartī, ham sab kī mātā hai
socho, āpas meṅ, kyā apnā nātā hai
ham āpas meṅ laṛ baiṭhe,
ham āpas meṅ laṛ baiṭhe to deśh ko kaun sambhālegā
koī bāhar vālā apne ghar se hameṅ nikālegā
dīvānoṅ hośh karo, mere deśh premiyoṅ …
mīṭhe, pānī meṅ, ye zahar na tum gholo
jab bhī, kuchh bolo, ye soch ke tum bolo
bhar jātā hai gahrā ghāv jo bantā hai golī se
par vo ghāv nahīṅ bhartā jo banā ho kaṛvī bolī se
to mīṭhe bol kaho, mere deśh premiyoṅ …
toṛo, dīvāreṅ, ye chār diśhāoṅ kī
roko, mat rāheṅ in, mast havāoṅ kī
pūrab paśhchim uttar dakkhin vāloṅ merā matalab hai
is māṭī se pūchho kyā bhāṣhā kyā iskā mazhab hai
phir mujhse bāt karo, mere deśh premiyoṅ …