(kabhī palkoṅ pe āṇsū haiṅ
kabhī lab pe śhikāyat hai
magar ai zindgī phir bhī
mujhe tujhse mohabbat hai ) - 2
kabhī palkoṅ pe āṇsū haiṅ
jo ātā hai vo jātā hai, ye duniyā ānī-jānī hai
yahāṇ har śhay musāphir hai, safar meṅ zindgānī hai
ujāloṅ kī zarūrat hai, andherā merī kismat hai
kabhī palkoṅ pe āṇsū haiṅ, kabhī lab pe śhikāyat hai
magar ai zindgī phir bhī, mujhe tujhse mohabbat hai
zarā ai zindgī dam le, terā dīdār to kar lūṇ
kabhī dekhā nahīṅ jisko, use maiṅ pyār to kar lūṇ
abhī se chhoṛ ke mat jā, abhī terī zarūrat hai
kabhī palkoṅ pe āṇsū haiṅ, kabhī lab pe śhikāyat hai
magar ai zindgī phir bhī, mujhe tujhse mohabbat hai
koī anjān sā chehrā, ubhartā hai fizāoṅ meṅ
ye kiskī āhṭeṅ jāgīṅ, merī khāmośh rāhoṅ meṅ
abhī ai maut mat ānā, merā vīrānā jananat hai
kabhī palkoṅ pe āṇsū haiṅ, kabhī lab pe śhikāyat hai
magar ai zindgī phir bhī, mujhe tujhse mohabbat hai