(Lata Mangeshkar)
rim-jhim gire sāvan, sulag sulag jāe man
bhīge āj is mausam meṅ, lagī kaisī ye agan
rim-jhim gire sāvan …
pahle bhī yūṇ to barse the bādal,
pahle bhī yūṇ to bhīgā thā āṅchal
ab ke baras kyūṇ sajan, sulag sulag jāe man
bhīge āj is mausam meṅ, lagī kaisī ye agan
rim-jhim gire sāvan …
is bār sāvan dahkā huā hai,
is bār mausam bahkā huā hai
jāne pīke chalī kyā pavan, sulag sulag jāe man
bhīge āj is mausam meṅ, lagī kaisī ye agan
rim-jhim gire sāvan …
(Kishore)
rim-jhim gire sāvan, sulag sulag jāe man
bhīge āj is mausam meṅ, lagī kaisī ye agan
rim-jhim gire sāvan …
jab ghuṅghruoṅ sī bajtī haiṅ būṅde,
armāṇ hamāre palke na mūṅde
kaise dekhe sapne nayan, sulag sulag jāe man
bhīge āj is mausam meṅ, lagī kaisī ye agan
rim-jhim gire sāvan …
mahafil meṅ kaise kah deṅ kisī se,
dil baṅdh rahā hai kis ajanbī se
hāy kare ab kyā jatan, sulag sulag jāe man
bhīge āj is mausam meṅ, lagī kaisī ye agan
rim-jhim gire sāvan …