mu: tū śhaitānoṅ kā sardār hai
śhi: sach hai
mu: hardam laṛne ko taiyār hai
śhi: sach hai
mu: o tere hāthoṅ merā jīnā duśhvār hai
śhi: daddy phir bhī tumko mujhse pyār hai
ho daddy phir bhī …
mu: mār ke ṭhokar mej kā konā toṛ diyā hai
merā to har sapan salonā toṛ diyā hai
aur apnā bhī har ek khilaunā toṛ diyā hai
aur ab jāne kyā toṛe koī etbār hai
śhi: daddy phir bhī …
mu: sochā thā tū mere kitne kām karegā
paṛh-likh kar duniyā meṅ rośhan nām karegā
tū to merā nām bhī badnām karegā
tujhko samjhāne kī har kośhiśh bekār hai
śhi: daddy phir bhī …
mu: kyā jaṅgal kā rājā kabhī mor banegā
śher kā beṭā kyā itnā kamazor banegā
maiṅ sipāhī banā tū śhāyad chor banegā
kyā kahūṇ tū phūl hai yā kāṇṭoṅ kā hār hai
śhi: daddy phir bhī …