kachche dhāge ke sāth jise bāṇdh liyā jāe
vo bandī kyā chhūṭe vahīṅ pe jie vahīṅ mar jāe
kachche dhāge ke …
jin pe chal na pāe zaṅjīroṅ kī jorā-zorī
unko khīṅch ke le āe kachchī reśham kī ḍorī
kisī ne sach hī kahā hai ki
do hī bātoṅ ke bīch man kā mīt ban jāe
vo duśhman jo baṛe-baṛoṅ ke kabhī hāth na āe
kachche dhāge ke …
aisā bhī ātā hai koī mast pavan kā jhoṅkā
gaṅgā-jal pe bhī ho jātā hai madirā kā dhokhā
kisī ne sach hī kahā hai ki
jhūṭhe vāde ke sāth jise toṛ diyā jāe
vo bandhan kyā juṛe juṛe to juṛe gāṅṭh paṛ jāe
kachche dhāge ke …
man-mandir meṅ sūrat terī roz karūṇ maiṅ pūjā
merā tere dvār binā prītam nāhīṅ ghar dūjā
kisī ne sach hī kahā hai ki
sachche nāte ke sāth jise prem kiyā jāe
vo paṅchhī kyā uṛe uṛe to uṛe lauṭ kar āe
kachche dhāge ke …