humming
isko bhī apnātā chal, usko bhī apnātā chal
rāhī haiṅ sab ek ḍagar ke sab par pyār luṭātā chal
isko bhī apnātā chal, usko bhī apnātā chal
idhar kafan tak nahīṅ lāśh par udhar numāyiśh reśham kī
yahāṇ svyaṅvar kare chāṇdnī vahāṇ na rāt kaṭe ġham kī
dhartī kaṅkar patthar māre ambar ugle aṅgāre
koī pūchhe bāt na is bagiyā meṅ dukhiyā śhabnam kī
sukh kī umr baṛhātā chal, dukh ko kafan oṛhātā chal
mile jahāṇ bhī mahal use kuṭiyā ke pās bulātā chal
isko bhī apnātā chal, usko bhī apnātā chal
bikā-bikī sab or machī hai āne yā do ānoṅ par
ismat bike dorāhoṅ par to pyār bike dūkānoṅ par
ḍagar-ḍagar par maṅdir masjid qadam qadam par gurudvāre
bhagvānoṅ kī bastī meṅ hai zulm bahut insānoṅ par
khiṛkī har khulvātā chal, sāṇtal (?) har kaṭvātā chal
is par bhī rośhnī na ho to dil kā diyā jalātā chal
isko bhī apnātā chal, usko bhī apnātā chal
ridarde(?) ke bīch khāiyāṇ lahū bichhā maidānoṅ meṅ
ghūm rahe haiṅ yuddh saṛak par śhāṅti chhipī śhamśhānoṅ meṅ
zaṅjīreṅ kaṭ gaīṅ magar āzād nahīṅ insān abhī
duniyā bhar kī khuśhī qaid hai chāṇdī jaṛe makānoṅ meṅ
taṭ-taṭ rās rachātā chal, panghaṭ-panghaṭ gātā chal
pyāsā hai har prāṇ, nayan kā gaṅgā jal chhalkātā chal
isko bhī apnātā chal, usko bhī apnātā chal
nayan-nayan tarse sapnoṅ ko āṇchal tarse phūloṅ ko
āṇgan tarse tyohāroṅ ko galiyāṇ tarseṅ jhūloṅ ko
kisī hoṅṭh par baje na baṅsī kisī hāth meṅ bīn nahīṅ
umar samuṅdar kī de ḍālī kis ne chaṅd babūloṅ ko
soī kiraṇ jagātā chal, rūṭhī subheṅ manātā chal
pyār naqāboṅ meṅ na baṅd ho har ghūṇghaṭ khulvātā chal
isko bhī apnātā chal, usko bhī apnātā chal