phir tumhārī yād āī ai sanam, ai sanam
ham na bhūleṅge tumheṅ, allāh qasam
allāh qasam, allāh qasam, allāh qasam
mannā de: hāl-e-dil yār ko likhūṇ kaise
hāth dil se judā nahīṅ hotā
kis tarah unko batāeṅ apnā ġham, ai sanam
ham na bhūleṅge tumheṅ, allāh qasam
sādat khān: tum mere dil meṅ, merī āṇkhoṅ meṅ ho
tum mere khvāboṅ, merī āhoṅ meṅ ho
dūr rahkar bhī judā hoṅge na ham, ai sanam
ham na bhūleṅge tumheṅ, allāh qasam
rafī: jabse dekī sūrat unkī, ham śhamā jalānā bhūl gae
rukhsār kī surkhī kyā kahie, phūloṅ kā fasānā bhūl gae
bas itnī kahānī hai apnī, jab āṇkh milī behośh hue
dāman se havā tum kar na sake, ham hośh meṅ ānā bhūl gae
kitne pyāre haiṅ mohabbat ke sitam, ai sanam
kyā lutf ā rahā thā - 3, dilbar kī dillgī se
nazreṅ bhī thī mujhī par, pardā bhī thā mujhī se
kyā hasīṅ tasvīr thī, allāh qasam, ai sanam
ham na bhūleṅge tumheṅ, allāh qasam
allāh qasam, allāh qasam, allāh qasam