hamse na pūchho ham kahāṇ chale
ye dil jahāṇ le chalā vahāṇ chale
nazāre pīchhe-pīchhe bahāreṅ pīchhe-pīchhe
dīvānoṅ kā jidhar kārvāṇ chale
hamse na pūchho …
duniyā hai śhahar armānoṅ kā
bikhre-bikhre afsānoṅ kā
fasāne ye sunāte chale haiṅ ham gāte
ki jaise naġhmoṅ kā kārvāṇ chale
hamse na pūchho …
sapnoṅ kā chaman hai raṅg lie
dhartī hai gagan ko saṅg lie
ḍālī pe kalī jhūleṅ banke jaise phūl
qadam tale jaise āsmāṇ chale
hamse na pūchho …
naiyā pe chale jab haule se
pānī meṅ bahak gae śhole se
nazar ko milāe jo ham lahrāe
to lahroṅ ne pūchhā kaho kahāṇ chale
hamse na pūchho …