ai mere pyāre vatan, ai mere bichhaṛe chaman
tujh pe dil qurbān
tū hī merī ārazū, tū hī merī ābrū
tū hī merī jān
(tere dāman se jo āe un havāoṅ ko salām
chūm lūṇ maiṅ us zubāṇ ko jispe āe terā nām ) - 2
sabse pyārī subah terī
sabse raṅgīṅ terī śhām
tujh pe dil qurbān …
(māṇ kā dil banke kabhī sīne se lag jātā hai tū
aur kabhī nanhīṅ sī beṭī ban ke yād ātā hai tū ) - 2
jitnā yād ātā hai mujhko
utnā taṛpātā hai tū
tujh pe dil qurbān …
(chhoṛ kar terī zamīṅ ko dūr ā pahuṅche haiṅ ham
phir bhī hai ye hī tamannā tere zarroṅ kī qasam ) - 2
ham jahāṇ paidā hue
us jagah pe hī nikle dam
tujh pe dil qurbān …