din rāt badalte haiṅ hālāt badalte haiṅ
sāth sāth mausam ke phūl aur pāṭ badalte haiṅ (are) …
kabhī hameśhā dhūp rahī na sadā rahī kabhī chhāṇv
ek jagah pe kabhī rūke nā vaqt ke chalte pāṇv
baske ūjaṛte ūjaṛke baste dekhe kitne gāṇv …
bīt jāegī patjhaṛ ye phir āegī hariyālī
āj jo ḍālī hai sūnī sī kal hogī phūloṅvālī
kaun chaṅdniyā ko pūchhe jo na ho ratiyā kālī …
ye jīvan ek bahtī nadiyā duḥakh sukh iske rele
phūl kī āśhā karnevāle pahle kāṇṭeṅ le le
kyā jāne vo khuśhī kī kīmat jo na dard se khele …