gī: tū ne merā dil liyā tere bātoṅ ne jādū kiyā
hāy na jāne kyā kar diyā ye tere pyār kī rīt hai
ki: tere āṇkhoṅ pe ham haiṅ fidā tere zulfeṅ haiṅ kālīghṭā
mār ḍālegī zālim adā yūṇ na tū pyār se muskurā
gī: machle morā jiyā jāne mujhe kyā huā piyā
āṇkhoṅ se pyār chhalke nām hoṅṭhoṅ pe āe terā
ki: bholī hṇsī par miṭā zarā palkoṅ kā chilman uṭhā
merī āṇkhoṅ se āṇkheṅ milā tū merī maiṅ terā ho gayā
ki: thāme phirūṇ jigar huā mere dil pe vo asar
zulfeṅ na mujh pe ḍālo dilajloṅ kī lagegī nazar
gī: lūṭā nazar ne terī hāy kahtī hai dil kī lagī
dekh tū hai merī ziṅdgī pyār se dil tujhe de diyā
gī: taṛpūṇ maiṅ har ghaṛī terī merī kyā nazar laṛī
merā hāl kuchh na pūchho zarā sūrat to dekho merī
ki: tujhko maiṅ dekhā karūṇ terī chāhat meṅ ḍūbā rahūṇ
terī kadmoṅ pe ek din marūṇ tū kahe hāy re kyā huā