munnā baṛā pyārā, ammī kā dulārā
koī kahe chāṇd, koī āṇkh kā tārā
hṇse to bhalā lage, roye to bhalā lage
ammī ko uske binā kuchh bhī achchhā nā lage
jiyo mere lāl, jiyo mere lāl
tumko lage merī umar jiyo mere lāl
munnā baṛā pyārā …
ik din vo māṇ se bolā kyūṇ phūṇktī hai chūlhā
kyūṇ nā roṭiyoṅ kā peṛ ham lagāleṅ
ām toṛeṅ roṭī toṛeṅ roṭī-ām khāleṅ
kāhe kare roz-roz tū ye jhamelā
ammī ko āī haṅsī, hṇske vo kahne lagī
lāl mehnat ke binā roṭī kis ghar meṅ pakī
jiyo mere lāl, jiyo mere lāl
o jiyo jiyo jiyo jiyo jiyo mere lāl
munnā baṛā pyārā …
ek din vo chhupā munnā, ḍhūṇḍhe nā milā munnā
bistar ke nīche, kursiyoṅ ke pīchhe
dekhā konā konā, sab the sāṇs khīṅche
kahāṇ gayā kaise gayā sab the pareśhāṅ
sārā jag ḍhūṇḍh saje, kahīṅ munnā nā milā
milā to pyār bharī māṇ kī āṇkhoṅ meṅ milā
jiyo mere lāl, jiyo mere lāl
o tumko lage merī umar jiyo mere lāl
munnā baṛā pyārā …
jab sāṇjh muskurāye, paśhchim meṅ raṅg uṛāye
munne ko leke ammī darvāze pe ā jāye
āte hoṅge bābā munne kī miṭhāī
lāte hoṅge bābā …