dil chheṛ koī aisā naġhmā
gītoṅ meṅ zamānā kho jāe
dil chheṛ koī aisā naġhmā
ye āh merī duniyā ke lie -2
khuśhiyoṅ kā tarānā ho jāe
dil chheṛ koī aisā naġhmā
(āvāz mere ṭūṭe dil kī
duniyā ke diloṅ ko taṛpā de) -2
patthar kā jigar bhī sunke jise
ek bār to pānī ho jāe
dil chheṛ koī aisā naġhmā
hāy, jisne hameṅ yah dard diyā -2
ham usko duāeṅ dete haiṅ
ye dard davā ban jāegā
ek din jo purānā ho jāe
dil chheṛ koī aisā naġhmā
(hai tujhko qasam ai dil kī jvlan
āṇkhoṅ meṅ na āṇsū ājāeṅ) -2
aisā na ho tere rone se
mahafil meṅ tamāśhā ho jāe
dil chheṛ koī aisā naġhmā