bechain nazar betāb jigar
ye dil hai kisīkā dīvānā hāy dīvānā
kab śhām ho aur vo śhammā jale
kab uṛ kar pahuṅche parvānā hāy parvānā
hai dil kā chaman khilne ke liye
āegā koī milne ke liye
phūloṅ se kaho tāroṅ se kaho - 2
chupke se sajā deṅ vīrānā, hāy vīrānā
jab rāt zarā śhabnam meṅ ghule
lahrāī huī vo zulf khule
nazroṅ se nazar ej bhed kahe - 2
dil dil se kahe ek afsānā, hāy afsānā
raṅgīn fizā chhāe to zarā
vāde pe koī āe to zarā
ai jośh-e-vafā dil chīz hai kyā - 2
ham jān bhī deṅ deṅ nazrānā, hāy nazrānā
bechain nazar betāb jigar …