āṇkhoṅ meṅ samā jāo, is dil meṅ rahā karnā
tāroṅ meṅ hṇsā karnā, phūloṅ meṅ khilā karnā
āṇkhoṅ meṅ samā jāo, is dil meṅ rahā karnā
jab se tumheṅ dekh hai, jab se tumheṅ pāyā hai
kuchh hośh nahīṅ mujhko, ek naśhā sā chhāyā hai
ab bāt jo karnī ho, āṇkhoṅ se kahā karnā
(āiye kāśh dhaṛaktā dil, kuchh der ṭhahar jāe
ye rāt, mohabbat kī, yūṇhī na guzar jāe) - 2
bākī abhī tum par, ye jān fidā karnā
āṇkhoṅ meṅ samā jāo, is dil meṅ rahā karnā
(kismat na dikhāe ab, ghaṛiyāṇ hameṅ furkat kī
har rāt yūṇhī chamke, taqdīr mohabbat kī) - 2
āiye chāṇd sitāroṅ tum miljul ke duā karnā
āṇkhoṅ meṅ samā jāo, is dil meṅ rahā karnā