talat: jab se maiṅ ne dil lagāyā dil kahīṅ lagtā nahīṅ
madhubālā: ai muhabbat vo jahāṇ haiṅ tū mujhe le chal vahīṅ
le ke jāūṇ maiṅ kahāṇ rusvāīoṅ kā kāfilā,
hāye kāfilā, hāye kāfilā
talat: khatm hogā jāne kis din do diloṅ kā fāslā,
hāye fāslā, hāye fāslā
madhubālā: ārazūeṅ dil kī sārī khāk ho kar rah gaīṅ
talat: jab se maiṅ ne dil lagāyā dil kahīṅ lagtā nahīṅ
jī nā rone se bahaltā hai na ab fariyād se,
fariyād se, fariyād se
madhubālā: dil kā ġham kuchh aur baṛh jātā hai un kī yād se,
hāye yād se, hāye yād se
talat: aur un ko bhūl jānā bhī mere bas meṅ nahīṅ
madhubālā: ai muhabbat vo jahāṅ haiṅ tū mujhe le chal vahīṅ
mujh se kismat bhī khafā hai, aur vo bhī haiṅ judā,
hāye haiṅ judā, hāye haiṅ judā
talat: pyār kī pahlī kiran chamkī to sūraj ḍhal gayā,
hāye ḍhal gayā, hāye ḍhal gayā
madhubālā: merī duniyā meṅ aṅdhere ke sivā kuchh bhī nahīṅ
talat: jab se maiṅ ne dil lagāyā dil kahīṅ lagtā nahīṅ