la: sājnā ho, sājnā ho
ra: sāṇvrī o''''
la: sun mere sājnā re, sun mere sājnā
dekho jī mujhko bhūl na jānā
sun mere sājnā re
ra: sun merī sāṇvrī o, sun merī sāṇvrī
apnā banāke chhoṛ na jānā
sun merī sāṇvrī o
ra: na tujhko maiṅ bhulāūṇgā, nigāhoṅ meṅ chhupāūṇgā
magar itnā karo vādā ki riśhtā toṛ na jānā
sun merī sāṇvrī o
la: ye riśhtā chār āṇkhoṅ kā mere sājan na ṭūṭegā
jo mujhko āzmānā ho to ḍolī leke ā jānā
sun mere sājnā re
ra: baje jis roz śhahnāī samajh lenā bārāt āyī
o armānoṅ kī ḍolī meṅ tu dulahan ban ke ā jānā
sun merī sāṇvrī o
la: agar qismat badal jāye, judāī hamko taṛpāye
qasam hai pyār kī tujhko tu mujhse rūṭh na jānā
sun mere sājnā re