ma: bhāī re
gaṅgā aur jamunā kī gahrī hai dhār
āge yā pīchhe sabko jānā hai pār
dhartī kahe pukār ke, bīj bichhā le pyār ke
mausam bītā jāy, mausam bītā jāy
ko: mausam bītā jāy, mausam bītā jāy -2
ma: apnī kahānī chhoṛ jā, kuchh to niśhānī chhoṛ jā
kaun kahe is or tū phir āye na āye
ko: mausam bītā jāy, mausam bītā jāy -2
la: terī rāh meṅ kaliyoṅ ne nain bichhāye
ḍālī-ḍālī koyal kālī tere gīt gāye
tere gīt gāye
apnī kahānī chhoṛ jā, kuchh to niśhānī chhoṛ jā
kaun kahe is or tū phir āye na āye
ko: mausam bītā jāy, mausam bītā jāy -2
ma: ho bhāī re
nīlā ambar muskāye, har sāṇs tarāne gāye
hāy terā dil kyoṅ murjhāye
ko: ho ho ho ho ho
man kī banśhī pe tū bhī koī dhun bajā le bhāī
tū bhī muskurā le
ma, la: apnī kahānī chhoṛ jā, kuchh to niśhānī chhoṛ jā
kaun kahe is or tū phir āye na āye
ma: ho bhāī re, bhāī re, bhāī re, o o
ko: mausam bītā jāy, mausam bītā jāy -2