Title (Indic)तसवीर बनाता हूँ तेरी खून-ए-जिगर से WorkDeewana Year1952 LanguageHindi Credits Role Artist Music Naushad Performer Mohammad Rafi Writer Shakeel Badayuni LyricsHindiतसवीर बनाता हूँ तेरी ख़ून-ए-जिगर से ख़ून-ए-जिगर से देखा है तुझे मैं ने मुहब्बत की नज़र से अरे, मुहब्बत की नज़र से जितने भी मिले रंग वो सभी भर दिये तुझ में हाय, भर दिये तुझ में इक रंग-ए-वफ़ा और है, लाऊँ वो किधर से अरे लाऊँ वो किधर से तसवीर बनाता हूँ तेरी … सावन तेरी ज़ुल्फ़ों से घटा माँग के लाया हाय, माँग के लाया बिजली ने चुराई है तड़प तेरी नज़र से अरे, तड़प तेरी नज़र से तसवीर बनाता हूँ तेरी … मैं दिल में बिठा कर तुझे रुख़्सत न करूँगा हाय, रुख़्सत न करूँगा मुश्किल है तेरा लौट के जाना मेरे घर से अरे जाना मेरे घर से तसवीर बनाता हूँ तेरी … Englishtasvīr banātā hūṇ terī khūn-e-jigar se khūn-e-jigar se dekhā hai tujhe maiṅ ne muhabbat kī nazar se are, muhabbat kī nazar se jitne bhī mile raṅg vo sabhī bhar diye tujh meṅ hāy, bhar diye tujh meṅ ik raṅg-e-vafā aur hai, lāūṇ vo kidhar se are lāūṇ vo kidhar se tasvīr banātā hūṇ terī … sāvan terī zulfoṅ se ghaṭā māṇg ke lāyā hāy, māṇg ke lāyā bijlī ne churāī hai taṛap terī nazar se are, taṛap terī nazar se tasvīr banātā hūṇ terī … maiṅ dil meṅ biṭhā kar tujhe rukhsat na karūṇgā hāy, rukhsat na karūṇgā muśhkil hai terā lauṭ ke jānā mere ghar se are jānā mere ghar se tasvīr banātā hūṇ terī …