śha: maine jabse tumko dekhā hai mere dil meṅ gudgudī hotī hai
maiṅ tāre gintī rahtī hūṇ jab sārī duniyā sotī hai
du: ye mere dil kī dhaṛkan hai yā ik ḍholak sī bajtī hai
yā koī meṅḍhkī phudak-phudak kar dil meṅ mere fudaktī hai
ulfat kī bulbul hāy re chahak-chahak kar
aur chulbulī chulal chulbulī hotī hai
mere dil meṅ gudgudī …
śha: jab sāmne mere āte ho nazroṅ se nazar laṛ jātī hai
ye mere dil kī lālṭen kuchh maddham sī paṛ jātī hai
mere armānoṅ meṅ hāy re
naī khulbulī khulul khulbulī hotī hai
mere dil meṅ gudgudī …
du: merī dhuṇdhlī-dhuṅdhlī rātoṅ meṅ tum āo chāṇd ban kar āo
tum mere dil ke baṅgle meṅ furniture ban kar saj jāo
phir ham-tum samjheṅ hāy re kyoṅ
man meṅ phurphurī phurphurī hotī hai
dhīre-dhīre haule-haule
mere dil meṅ gudgudī …