merā bholā sā balmā re
nahī samjhe hamāre isāre
o merā bholā sā balmā re
nahī samjhe hamāre isāre
( sadā bhīge rahe re rasiyā
in nainoṅ ke donoṅ kināre ) -2
merā bholā sā balmā re
nahī samjhe hamāre isāre
( sardī kī rāt baṛī zulmī re bālmā
hamse ġhuzāre nā guzre ) -2
( āj do ghaṛī ke badal dai do more vāste
jeṭh kā mahīnā bhī ā guzre ) -2
tū nā bedardī re ġharazī hāy ??
jab māṇge javānī sahāre
merā bholā sā balmā re
nahī samjhe hamāre isāre
( bolo na bolo thārī marazī re sājnā
ham bhī na tose kabhī boleṅ ) -2
( nanhā sā jiyā jo morā bhar-bhar āye kabhī
baiyāṇ kī oṭ le ke ro leṅ ) -2
( mose nā paiyāṇ more saiyāṇ paṛā jāye ho
jāo jī tum jīte ham hāre ) -2
merā bholā sā balmā re
nahī samjhe hamāre isāre
sadā bhīge rahe re rasiyā
in nainoṅ ke donoṅ kināre
merā bholā sā balmā re
nahī samjhe hamāre isāre