bābul kā ghar chhoṛ ke gorī
ho gaī āj parāī re
ḍolī dekh jiyārā ḍole
āṇkh nīr bhar āī re
( nyārī jag kī rīt rī sakhiyāṇ
kaun kisī kā mīt rī sakhiyāṇ ) -2
jhūṭhī sabkī (?)
kisne prīt nibhāī re
bābul kā ghar chhoṛ ke gorī
ho gaī āj parāī re
ḍolī dekh jiyārā ḍole
āṇkh nīr bhar āī re
jin galiyoṅ meṅ bachapan bītā
kholī āṇkh javānī ne
un galiyoṅ se kiyā kinārā
sakhiyoṅ kī paṭrānī ne
bhaīyā kā man bhar-bhar āye
rot chalī mā jāī re
bābul kā ghar chhoṛ ke gorī
ho gaī āj parāī re
ḍolī dekh jiyārā ḍole
āṇkh nīr bhar āī re
pī ke pyār meṅ kho kar gorī
hamko bhūl nā jānā
roz nahīṅ to kabhī-kabhī
do akaśhar likh bhijvānā
dhīre-dhīre madhur suroṅ meṅ
yahī kahe śhahnāī re
( bābul kā ghar chhoṛ ke gorī
ho gaī āj parāī re
ḍolī dekh jiyārā ḍole
āṇkh nīr bhar āī re ) -2