śha: ya kahī
do: ( chāhe kitnī kaṭhin ḍagar ho
ham qadam baṛhāte jāyeṅge
qadam baṛhāte hṇste-gāte
dhūm machāte jāyeṅge ) -2
chāhe kitnī kaṭhin ḍagar ho
su: jis path par tum charan dharoge -2
apne nain bichhāūṇgī
( tumre path ke kāṇṭoṅ ko]
palkoṅ se uṭhātī jāūṇgī ) -2
jab lag prān raheṅge -2
do: ek-dūje kā sāth nibhāyeṅge
qadam baṛhāte jāyeṅge
qadam baṛhāte hṇste-gāte
dhūm machāte jāyeṅge
chāhe kitnī kaṭhin ḍagar ho
śha: is dukhiyāre jag meṅ tum hī
nainan kā ujiyārā ho
( sūne-lambe jīvan-path kā
tum hī ek sahārā ho ) -2
tum saṅg ho to pāṇv mere
kabhī na ṭhokar khāyeṅge
do: qadam baṛhāte jāyeṅge
qadam baṛhāte hṇste-gāte
dhūm machāte jāyeṅge
chāhe kitnī kaṭhin ḍagar ho
su: ( hamko mil kar is dukhiyāre
jag ko svarg banānā hai ) -2
( sab apne haiṅ sabko
mānavtā kā pyār sikhānā hai ) -2
śha: jo sabko ujiyārā de
su: jo sabko ujiyārā de
do: ek aisī jyot jalāyeṅge
qadam baṛhāte jāyeṅge
qadam baṛhāte hṇste-gāte
dhūm machāte jāyeṅge
chāhe kitnī kaṭhin ḍagar ho